Emails का Backup कैसे ले? How to backup Email id Hindi 2022

Emails Ka Use Aaj Kaun Nahi Karta Hai? Aaj Bhi Kisi Interview Ke Liye Jaye to Email Id Jarur Magate Hai, Ya Phir Kisi Website Me registered karo To Email Id Must Hoti Hai Fillup Karna, Ya To Aap Agar Online Shopping Karte Hai To Bhi Aapse Aapki Email ID Magi Jati hai. Email ID Aapki Ek Identity Hai Social Media par, Jiske Through Aap Aapni Pahchan Batate hai. Waise Toh Email ID Banana Free Hai, But Kya Kabhi Aapne Socha Hai Ki Agar Aapke Sara Email Galti Se Ya Kisi Reason Se Delete ho Jaye Toh Aise Me Aap Kya Karege?Aisi Condition Me Aapko Hamesa Apni Emails ka Backup lekar Rakhna Chihiye.Aaj Mai Isi Topic Ke bare me Batauga Ki Emails ka Backup kaise Le?

Aaj Ki Is Post Me Mai Aaapko Yehi Batauga Ki Gamil Ke Jariye Aap Apne Emails Ka Backup Kaise Le, Backup Akhir Kyu Lete hai, Backup Lene Ke Kya Fayade hai? Gamil Se delete Kiye gaye Emails Ko Kis Tarah Se Recover kare? Aaj In Sabke bare Me Mai Aapko Puri Jankari Duga. Toh Aaiye Janate hai.

gmail ka backup kaise le

Gamil Backup Ko Kyu Le, Iski Kya Jarurat Hai? आइये जाने

Gamil Ke jariye Aap Apne Sare Important Emails Ka Backup Kyu Le Akhir Hamko Kya Jarurat Hai. Suppose ki Aapne Kuch Apne important Documents (Like: Degree, Marksheet, ID Proof Etc) Ko Apne Gamil Account Me rakha Aur Kisi reason Ki Wajah Se Wo Documents Delete Ho gaye Toh Aapko Kafi Mushkil Ka Samna Karna Pad Sakta hai.

Aur kabhi-2 Kuch Emails Bhi hamare Liye kafi jada Important Hoti hai, Suppose Ki Aapne Kisi Job Ke Liye Interview Diya Aur Aapka Call Later Aapki Email par Send Kiya gaya But Ab Agar Wo Email Aapse Delete ho Gaya To Aisi Condition Me Aap Kya karege?

Isliye Hume Time To Time Apni Sabhi Personl Aur Important Emails ka Backup Lekar rakhna Chahiye Jis Se Ki Future Me hamko Kisi Problem ko Face na Karna Pade.

Gamil Se Emails Ka Backup Kaise Le? Aaiye Janate Hai.

Gamil Ke jariye Apni Sabhi Emails ka Backup Kis Tarah Se Le, Uske Liye Aapko Kuch Simple Steps Ko Follow karne padege.

STEP:1- Sabse Pahle Aap Apne Gmail Account Me Login Ho jaye.

STEP:2- Ab Aapki Dusari Tab Me Aap Is Link Ko Open kare, Iske jariye Aap Google Se Related Sabhi Chij ka Backup Aasani Se Le Sakte Hai. Click This Link-Takeout Google

takeout gmail page

STEP:3- Aapko Yaha Kai Sare Options Dikhai Dege. Inme Se Aksar Sabhi Options On Hoge, Aapko Ek Kaam karna Hai In Sabhi Options Ko Off karna hai Kyuki Hame Usi Option Ko On Karna Hoga Jiska Hamko Backup Lena Hai, Sabhi Option Ko Off Karne Ke Liye Simple aapko upper diye gye SELECT NONE Ke Option Par Click karke Sabko off kar Dena Hai.select none

STEP:4- Ab Aapko Scroll Karke Niche Ki Taraf Aana Hai, Aur Hamko Mail Ka Backup C reate karna hai Toh Simply Mail Par Click Karke Button Ko On Kar Dege.gmail

STEP:5- Ab Jaise Hi Aap Mail Button Ko On Karege Waise Hi Aapko Niche Ki Side 2 Options Show Hoge, First Include All Of Your mail And Second Select Labels.include

Include All Of Your Mail:- Agar Aapko Apne Pure Emails Ka Backup Create Karna Ho Toh Aap Include all of Your Mail ka Option Select kare.

Select Labels:- Select Labels Option Me Aap Apne Marji Ke According Labels Ko Select karke Unka Backup Le Sakte hai. Labels Means:- Jaise Gmail Me Primary, Social Send Etc Hote Hai Unko Hum Labels Kahate hai.

Firhaal Mai Select labels Ke Option Ko Select Karuga, Toh Simply Select Labels par Check, Kare.

STEP 6:- Jaise Hi Aap Select Labels par click Karege To Turant Aapke Samane Ye Gmail Lebels Ki List Open Ho jaegi, Ab Aapko Jis Bhi Gmail Labels Ka Backup Lena Hai Us Labels Ke Samane Check Box par Check karke Simply Ok Ke Button Par Click Kare.Gamil inbox Lebels

STEP 7:- Labels Ko Select Kane Ke Baad Scroll karke Simply Next ke Button par Click kare.

next

STEP 8:- Ab Aapko Yaha Par Customize Archive Format Me File Size Ka Option Show Hoga, Jisme Ki.Zip File Select Hogi, Aapko Usko Hi Select Rahne Dena hai, Niche Aapko Archive Size Show Hogi And Delivery Method me Aapko Send Download link Via Email ka Option Show Hoga ye Setting Me Aap Kuch Change Na Kare Aur Simply Create Archive Ke Option par Click kare.

create archive

STEP 9:-.Create Archive par click Karne Ke Baad Aapko Apki Screen par Almost There ka Ek Message Show Hoga, Jisme Kaha ja Raha Hai Ki We’re Preparing Your Archive. Means Ki Aapki Archive File Ko Prepair Kiya ja Raha hai Aapko Kuch Hi Time Me gamil Ki Taraf Se Ek Mail Aayega Ki Tab Aap Us Archive file Ko Download Kar Sakte Hai.

almost there

STEP 10:- Ab Kuch Time Ke Baad Aapke Gmail Me Ek mail Aayega, Jisme Ye Show Hoga Ki Your Google data Archive is Ready. Isme Ye Diya Gaya Hai Ki Aap Apni Archive File Ko Download kar Sakte Hai.Aap Bus Simply Download Archive Par Click kare Aapki Archive File Download Ho jaegi.

mail from google

STEP 11:- Download Archive Par Click Karte Hi Hamari Archive file Download Honi Start ho gayi Hai, jab Archive File Download Ho jaye to Aap Is File Ko Jo Ki .Zip File Hai Usko Extract kar le.

archive zip file download

Congratulation! Ab Aapne Seekh Liya Hai Ki Email ka Backup Kis Tarah Se Liya ja Sakta hai, Aap Is Procedure ko Follow karke Apne Gamil Ke jariye Emails ka Backup Aasani Se Le Sakte Hai Aur Apne Emails ko Secure Kar Sakte hai.

Read Also It:-

About The Post:-

Aaj Ki Is Post me Maine Aapko Ye Bataya Ki Aap Gamil Ke jariye Apni Emails Ka Backup kaise Le? backup Lena Aakhir Kyu jaruri hai? Gamil Ke Jariye Sabhi Personla Emails ka Backup Kis tarah Se Liya ja Sakta hai Sabhi Procedure Ko maine Aapse Discuss Kiya

Agar Aapko Emails ka Backup Lene Me Koi Bhi problem Aaye To Aap Mujhe Mail kar Sakte Hai, Mai Kosis karuga Aapki Problem Jaldi Se Jaldi Solve karu, I hope You Like This Article.

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

इस ब्लॉग पर आपको (Tally, Tally Prime, Computer Courses, Various Exams PDF Notes, CCC, O Level, and Motivational Books, etc से Related Articles मिलेगे।

Leave a Comment