Free Android App Kaise Banaye? Step Guide 2022

Aj Hum Apne Har Ek Kaam Ko Android Mobile Ke Jariye Karte Hai, Aur Isme Sabse Bada Role Play Karti Hai Android Apps. Waise To Dakha Jaye Android App Create Karne Ke Liye Aapko Programming Aur App Development Ki Knowledge Hona Bahut Jaruri Hai, But Aaj Mai Aapko Free Me Android App Kaise Banaye, Woh Bhi Bina Coading Aur Programming Ke? Is Ke Bare Me Batuga.

Agar Aapka Koi Business Hai, Ya Koi Blog Or Website Hai Aur Uske Liye Aap App Create Karna Chahate Hai To Aap Websites ke Jariye Bhi Free Android App Ko Aasani Se Bana Sakte Hai. Aaj Kal Android App Ko Developed karne Ke Liye Online Bahut Sare Tools & Websites Hai, Jinka Use Karke Hum App ko Bahut Hi Aasani Se Create kar Sakte Hai.

App Ko Create Karne Ke Liye Hamko Coading Nahi Karni Padti Hai, Bus Aapko Kuch general Details Ko Fill Karna Hota hai Like App Name, Description, App Icon Etc. In Details Ko Fillup karke Aap Ek Free Android App Ko Aasani Se Bana Sakte Hai.

Free Android App Kaise Banaye- step by step

Free Android App Create Karne Ki Famous Websites in 2021?

Dakha Jaye Toh Internet par Bahut Sari Free Websites And Free Tools Aapko Mil Jaege, Jiske Jariye Aap Aasani Se Free Android App Create Kar Sakte Hai.

Yaha Kuch Famous Websites Mai Aapko Suggest Kar Raha Hu Aap In Websites par Jakar Free me Android App Create Kar Sakte Hai. Read More Articles:-E PAN Card कैसे Apply करे? E PAN card apply online

1:-App Makr Se App Create Karne Ke Liye Click Kare:-Appmakr

2:-Appspotr Se App Create Karne Ke Liye Click Kare:-Appspotr

3:-Mobincube Se App Create Karne Ke Liye Click Kare:-Mobincube

4:-Ibuildapp Se App Create Karne Ke Liye Click Kare:-Ibuildapp

5:-App yet Se App Create Karne Ke Liye Click Kare:-Appyet

6:-Appsgeyser Se App Create Karne Ke Liye Click Kare:-Appsgeyser

Yaha Maine Aapko Kuch Famous Website Ka Naam Suggest Kiya Hai, Jiske Jariye Aap Free Android App Ko Aasani Se create Kar Sakte Hai.

Yaha par Mai Aapko Appsgesyer Ki Help Se Free me Android App Kaise Create Kare Uske Bare Me Puri Janakri Aaj Duga Toh Aaiye janate Hai.


Appsgeyser से Android App कैसे बनाये? 

Appsgeyser Se Android App Banane Ke Liye Aapko Kuch Simple Steps Follow Karne Padege.

STEP:1- Sabse Pahle Aap Appsgeyser Ki Official Website Par Jaye, Click It:-Appsgeyser Website

STEP:2- Appsgeyser ki Website Par Jane Ke Baad Aapko Create Now For Free Ka Ek Button Show Hoga, Aap Us par Simply Click Kare.

create

STEP:3- Yaha Aapko Create App Ka Ek Page Show Hoga, Aapko Yaha par Kafi Sari Category Dikhai Degi. Aap In Category Ko Select Karke Aasani Se Apne Business, Blog Etc ke Liye App Create kar Sakte Hai. Mujhe Apne Blog Ke Liye App Create Karni hai, Toh Mai Website ke Option Par Simply Click Kare.

create app

STEP:4- Ab Aapko Apne Website/Blog Ka URL Yaha par Fill karna hai, Aur Aapko Apne App ke Liye kaun Sa Color Theme Chahiye Aap Usko Bhi Select Kar Sakte Hai.

enter website name

STEP:5- Url Aur Color Ko Select Karne Ke Baad Scroll Karke Niche Aaye Aur Next Ke Button Par Click Kare.

next

STEP:6- Aapko Apne App Ka Name yaha Fillup karna Hai, Name Ko Fill karne ke Baad Next ke Button par Click Kare.

app name

STEP:7- Ab Aapko Apni App Ke Liye Description fillup Karna Hai, Ki Aapki App Kis Topic par Hai.Aap Apni Marji Ke According Kuch Bhi Description Ko Yaha Fill kar Sakte hai.

app description

STEP:8- Aap Apni App Ke Liye Icon Set Kar Sakte Hai. Yaha Aapko 2 Option Dikhai Dete Hai. Pahla Jo Ki Default Icon Hai Aur Dusara Custom Icon. Agar Aap Apni Marji Ka Koi Icon Set Karna Chahate Hai to Aap Custom Icon Par Click karke Apne Icon Ko Upload kar Sakte Hai.

Maine Yaha Default Icon Ko Hi Select Kiya Hai, Icon Select karne Ke Baad Next ke Button Par Click Kare.

icon

STEP:9- Ab Aapne Apne App ke Liye Sabhi Setting Ko Complete kar Liya Hai, Ab Aap Simply App ko Create karne Ke Liye Create Ke Button Par Click Kare.

create now

STEP:10- Ab Aapko Appgeyser Me Login Karna Hoga, Agar Aapke Pas pahle Se Hi Account Hai Toh Aap Login Kar Sakte Hai Aur Agar Nahi Hai Toh Aap Simple Register Ke Option Me Jakar Register Kar Sakte Hai Ya Phir Aap Google, Facebook Aur Email ke Jariye Bhi Sign Up Kar Sakte Hai. Toh Mai Google Ke Sath Sign In Karke Account Create kar Lete hu.

registered

STEP:11- Ab Aap Appsgeyser Ke Dashboard me Successfully Login Ho Gaye Hai.Ab Aapki App Bankar ready hai, Aap Apni App Ko QR Code Ke jariye Scan Karke Bhi Download kar Sakte Hai Ya Phir Aap Niche Download Ke Option Me Jakar Click Karke Aasani Se Download kar Sakte hai.

download app

STEP:12-Ab Aapki App Build hone Me 2 Se 3 minut Legi Aur Jab 100 % Ho Jaye To Aap Isko Download kar Sakte Hai, App Jab Tak Build Ho Rahi Hai Aap Wait kar le.

publish

STEP:13- Congratulation! Ab Aapki App Ready Hai, Aap Isko Download kar Sakte Hai.

click to download

Bus Kuch Hi Minuts Me Aapki App Download Ho Jaegi, Phir Isko Aap Apne Smartphone Me Install Karke Aasani Se use Kar Sakte Hai.To Aaj Humne Ye Seekha Ki Free Me Android Mobile App Kis Tarah Se create Kar Sakte Hai.

Read Also This Articles:-

NOTE:-

Mai Aapko Ye Bata Hu Ki Aap Only General Purpose Ke Liye Is App Ko Use Kar Sakte Hai, Aap Agar Soch Rahe Hai Ki App Create Karke Agar Aap Kuch paise Earn Kar Lege To Aisa Bilkul Bhi Nahi Hai.

Main Bata Du Ki Aap Is App Ko Monetize Nahi Kar Sakte hai, Means Koi Bhi Kisi Bhi Tarah Ki Earning Nahi Kar Sakte Hai. Agar Aapko Android App Create karke Earning Karni hai To Aap App Ko Coading Ya Android Studio Ki Help Se Professionally App Ko Create Karna Hoga Tabhi Aap Us App Se Kuch Earning Kar Sakege.

About The Post:-

Aaj Ki Is Post Me Maine Aapko Bataya Ki Aap Free Me Android App Kaise Banaye? Apne Business Aur Blog Ke Liye Free Android App Ko Kaise Create Kare. I Hope Aapko Ye Post Pasand Aayi Hogi, Agar Post Achi Lagi Ho To Ise Social Media par Share Kare.

share Technicalcube

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

इस ब्लॉग पर आपको (Tally, Tally Prime, Computer Courses, Various Exams PDF Notes, CCC, O Level, and Motivational Books, etc से Related Articles मिलेगे।

3 thoughts on “Free Android App Kaise Banaye? Step Guide 2022”

Leave a Comment