Online Railway Ticket Kaise Book Kare 2022 पूरी जानकारी जाने?

Hello Friends, Aaj Main Aapko Batane Wala Hi Ki Indian Railway Ki Website IRCTC Par Lockdown मे Online Railway Ticket Kaise Book Kare? Maine Apni Pichli Post Me Aapko Ye Bataya Ki IRCTC Kya Hai? IRCTC Me New Account Kaise Banaye, In Sabke Bare Me Puri Jankari Di Thi.

Aaj Ki Duniya Internet Ki Duniya Hai. Aaj Hum Adhiktar Kai Sare Kaam Jaise, Travel karna Ho, Shopping Karni Ho, Recharge Karna Ho, Money Transfer Karna Ho Etc Hum Sare Kam Online Hi karte Hai, Because Technology Itni Jada Developed Ho Chuki Hai Ki Aadhiktar Sare Kam Online Hi Ho Jate Hai Jis Se Hamara Time Bhi Bachta Hai.

Kya Aap Aaj Bhi Railway Ticket Book Karne ke Liye Kisi Travelling Agent Ke Paas Jakar Railway Ticket Book karte Hai.Kya Aap jante Hai Railway Ticket Book Karna Aaj Ke Time Me Behad Aasan Ho Gaya Hai.Aaiye janate Hai,Kaise?

online railway ticket kaise book kare

Read More Articles:-Lockdown मे घर बैठे Online Paise kaise kamaye?

Pahle Aap Sirf (Laptop ya PC) Se Hi IRCTC Ki Website Se Hum Online Ticket Book Kar Sakte The But Jab Se SmartPhone Aaya Hai, Tab Se IRCTC Ne Apni Official Application IRCTC Rail Connect App Launched Ki Hui Hai, Jisko Use Karna Behad Aasan Hai.

Aap IRCTC Application Ki Help Se Online Railway Ticket Aasani Se Book Kar Sakte Hai. But Aapko Ye Bata Du Ki Market Me Bahut Sari Third-Party Application Bhi Hai But Mai Aapko Ye Suggest Karuga Ki, Aap IRCTC Ki App IRCTC Rail Connect Ko Hi Use Kare Kyuki Ye Jada Secure Hai.

 Online Railway Ticket Kaise Book Kare? मोबाइल से रेलवे टिकट कैसे बुक करें?

Aaj Main Aapko Mobile Aur (Laptop/PC) Dono Hi Methods Se Online Railway Ticket Book Karna Batauga. Kyuki Aaj Kal Smartphone ka Jamana Hai ,Sabhi Log Aaj Kal SmartPhone Ka Hi Use Jada Taur Kiya Karte Hai.To Aaiye Jante Hai Ki Mobile Se IRCTC Ki Application Se Online Ticket Kaise Book Kare.

IRCTC Se Online Ticket Book karne Ke Liye Aapko IRCTC Par Account Banana Hoga Tabhi Aap Ticket Book Kar Sakte Hai. Aaiye Ek-2 Methods Ko Discuss karte Hai.

Online Ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas Kya Kya Available Hona Chahiye?

1-IRCTC Account:- Online Ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas IRCTC Ka Ek Account Hona Chahiye Agar Aapke Pas IRCTC Ka Account Nahi Hai, Toh Aap Ticket Book Nahi Kar Sakege

. Agar Aapne Abhi Tak IRCTC Ki Website par Account Nahi Create Kiya Hai, Toh Aap Sabse Pahle Account Create Kar Le. IRCTC Me New Account Create Karne Ke Liye Is Article Ko Read Kare.

IRCTC Me ID Kaise Banaye? IRCTC Me Account Banane Ka Tarika?

2-Internet Connection:- Ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas Internet Connection Hona Jaruri Hai, Kyuki Bina Internet Connection Ke Aap Ticket Book Nahi Kar Sakege.

3-Laptop/PC Ya Smartphone:- Online ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas ya To Laptop Ho, Ya Phir Koi PC Personal Computer Ho Ya To Ek Smartphone Hona Jaruri Hai.

4-Payment Options:- Online Train Ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas Payment Karne Ka Option Hona Required Hai, Ya To Aapke Pas Internet Banking Ho, Ya ATM(Debit Card), Credit Card Etc, Jis Se Aap Apne Ticket Ki Payment Ko Aasani Se Pay Kar Sake.

Method 1:- Mobile Se Online Ticket Book Karna.

Mobile Se Online Ticket Book Karne Ke Liye Hum IRCTC Ki Official Application IRCTC Rail Connect Ka Hi Use Karege. Ticket Book Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Hai, Jisko Aapko Follow Karne Padege.

STEP-1: Sabse Pahle Play Store Me Jake Irctc Rail Connect Name Ki Application ko Install Karege.Install Karne Ke Baad App Ko Open Karege.Download App

STEP-2: Install Karne Ke Baad App Ko Open Karege Aur Train Ticket Ke Option Par Click Karege.

irctc App interface

STEP-3: Train Ticket Option Par Click Karne Ke Baad Aapko Apna User Name Aur Password Fill Kare Aur Simply login Option Par Click kare.

irctc login

STEP-4: Login karne par Aapko Aapka Ek 4 Digit Ka Pin Generate karna Padega. Aap Apni Marji Ke According Koi Bhi 4 Digit ka Pin Create kar Le Aur Subit Ke Option Par Click kare.

irctc generate pin

STEP-5: Ab Aap Apne IRCTC Account Me Login Ho Jaege. Yaha Aapko Journey Details Fill karni hai Means Aapko Kha Se Kha Tak Ki Ticket Book karni hai Aur Kis Date me Wo Sari Details Enter karege..From Option Me Aapko Kha Se Train Leni hai, Wo Station ko Search karege Aur To Option Me Kha Tak  Aapko jana hai Wo Station Search karege.

Uske Baad Aapko Kis Date me Ticket Book karna Hai, Wo Date Fill karke, Search Train Ke Option par Click karege.

irctc train search

STEP-6: Ab Aapko Jaha Travel karna Hai Wo sari Train Ki List Samne Aa jaegi.Isme Aap Quota Select kar sakte Hai Ki Aap kis Quote se Belong karte hai, Jaise General, Ladies, Tatkal Etc.Usi Ke Niche Aapko departure Option me Aapko Train Dikhegi Aapko, Jis Bhi Train Me Ticket Book karna Hai, Wo Select Kar Lijiye

train serach

STEP-7: Ab Aapko Jis Bhi Train me Ticket Ko Book Karna Hai, Aur Kis Class Me Book Karna Hai Ticket, Woh Class Ko Select Karege.Uske Baad Agar Seat Available Hogi To Status Me Book Now ka Option Show Hoga, Aapko Simply Book Now Ke Option Par Click Karna Hoga.

book sl class

STEP-8: Ab Aapke samne Jis Train Ka Ticket Book karna hai Sari Details Samne Aa jaegi. Ab Aapko Add Passenger Ke Botton par Click karke Passengers Ko Add karna Hoga. Agar Aapka Koi bacha Bhi Aapke sath hai To Add Child Wale Option par Click karege.

add passenger

STEP-9:  Add Passenger Option par Click karne ke Baad Aapko Apna Name, Apni Age, Gender, Birth Jo Bhi Aap Select karna Chahe Aur Country Select Karke Done Ke Option Par Click Kare

passenger details

STEP-10: Passenger Details Ko Fill karne Ke Bad Passenger Add Ho Jaega.Uske baad Aapko Apna Mobile No Fill kare Aur Book Ticket Ke Option Par Click Kare.

add passenger details

STEP-11: Book Ticket Option Par Aapko Booking Ki Sari Details  Show Hogi. Aab Aap Captcha Code Fill Kare Aur Proceed to Payment Option Par Click Kare.

capata code fill

STEP-12: Yaha Aapko Apna payment Mode Select Karna Hoga.IRCTC Rail Connect App Hamke Kai Payment Mode provide Karta Hai Jaise Ewallet, Bhim App, Net Banking, Credit/Debit Card Etc. Aap jo Bhi Payment Mode Chose Karna Chahe, Wo Select Kar Sakte Hai. Humne Yaha Par Debit Card Select Kiya Hai. Payment Mode Select Karne Ke Baad Aapko Simply Pay Ke Option par Click Karna Hoga.

payment method chhose

STEP-13: Payment Mode Aapko Credit/Debit Card Select karege.

STEP-14: Debit Card Select Karte Hi Aapko Apne Debit Card Ki Details fill Karni Hogi, Jaise Debit Card Number, Expiry Date Aur CVV Number Etc. Sari Details fill Karne Ke Bad Proceed To Pay Ke Option Par Click Kar Dege.card detail fill

STEP-15: Debit Card Ki Details fill karte Hi Aapko Aapke Payment Gateway Par Redirct Kar Diya Jaega.Yaha Aapke Mobile No Par Ek OTP Aaya Hoga, Aapko Wo OTP Fill Karke Make Payment Ke Option Par Click karna Hoga, Jaise Hi Make Payment Option Par Aap click Karege Aapki Payment Ho Jaegi.payment process

STEP-16: Ticket Book karne Ke Baad Aapko Apki Email Id Par IRCTC Ki Taraf Se Ek Message Aayega Ki Aapki Ticket Book Ho Chuki Hai, Ab Aap Chahe To PNR No Se Apni Ticket Ka Print Le Sakte Hai.

Toh Is Procedure Se Humne Ye Seekha Ki Hum Mobile Se Online Railway Ticket Kitni Aasani Se Book Kar Sakte Hai. Aaiye Ab Hum Dusare Methods Se Laptop/PC Se Ticket Book Karna Seekhte Hai.

Method 2:- Laptop/PC Se Online Ticket Book Karna.

Jaisa Ki Aap jante Hai Kuch Hi Din Pahle IRCTC Ki Website Ka Interface Pura Change Kar Diya Gaya Hai Jisse Bahut Se Logo Ko Online Railway Ticket Book Karne Me Problems Aa Rahi Hai To Aaj Mai Aapko Laptop Ya PC Se Online Ticket Book Karna Batauga. Uske Ke Liye Aapko Kuch Simple Steps Ko Follow Karna Padega.

Step 1- Sabse Pahle IRCTC Ki Official Website Par Click Kare-https://www.irctc.co.in

Step 2- Ab Aapke Samne Irctc ka login Ka Option Show Hoga. Simply Login Par Click Kare.

irctc website details

Step 3- Ab Aapke Samne Login Ka Form Show Hoga, Usme Apna Irctc Account ki User Id, Password Aur Captcha Enter Karne Ke Baad Sign in Ke Option Par Click Kare.

irctc login

Step 4: Login Par Click karne ke Baad Aapke Samne IRCTC ka Main Page Open Hoga Jisme Aapko Left Side Me Book Your Ticket ka Option Dikhega. Isme Aapko kaha Se Kaha Tak ki Yatra ke liye Ticket Book Karna Hai Wo Details Ko Enter Karna Hai Aur Sath Hi Sath Yatra Ki Date Ko Bhi Select Karna Hai.

allahabd ahm search

  • From Station- Yaha Par Us Station Ka Naam Likhe Jaha Se Aapko Yatra Suru Karni Hai. Maine Yaha Allahabad Jn likha hai.Kyuki Mujhe Allahabad Jn Se Traviling Start Karni Hai
  • To Station- Isme Jis Jagah Par Aapko Jana Hai Us Station Ka Naam Dale. Mujhe Ahmedabad Jn Tak Jana Hai So Maine Yaha par Ahmedabad Jn likha Hua Hai.
  • Journey Date- Jis  Bhi Date Ke Liye Aapko Ticket Book Karna Hai wo Date Ko select kare.

Last Me Find Train Par Click kare.

Step 5: Find Train par Click Karne Ke Baad Aapki Train Ki List Open Ho Jaegi, Aapko Jis Train Me Ticket book karni Ho Usko Select karege, Uske baad Class Select Karege Aur Fir Check Availability & Fare Par Click Karege, To Aapko Pata Chalega Seat Available Hai Or Nahi.

cheack avail

Step 6:  Availability Check Par Hame Jis Bhi Date Me Tickets Available Hogi Wo Date Show Hogi, Aapko Simply Ticket book Karne Ke Liye Book Now Ke Option Par Click Karna Hai

cheack availability

Step 7: Ab Aapko Passengers Ki Details Fill karni Hai.

Booking Details

  • Name: Aapko Aapka Pura Nam Fill Karna Hai Jaisa Ki Aapki ID Proof Me Name Mention Hai.
  • Age: Yaha Aapko Aapki Age Fill Karni Hai.
  • Gender: Aapko Apna Gender Male/Female Select karna Hai.
  • Seat Preference: Aap Koi Bhi Preference Select Kar Sakte Hai Magar Aapko Aapki Icha Ke According Seat Nahi Milti Hai, Railway Apne According Aapko Seat Provide Karta Hai.
  • Country: Country Me India Select Karege.
  • Mobile Number: Aap Apna Mobile Number Fill karege.
  • Captcha Code: Captcha Code Fill Karege Jo Screen Par Hoga

Phir Continue Booking Ke Option Par Click Karege.

Step 8: Ab Railway Aapko Aapki Review Booking Details Ko Show Karega, Jisme Aapki sari Details Jo Aapne Fill Ki Hui Hai Wo Hogi, Aapko Bas Continue Booking Ke Option Par Click Karna Hoga.

review booking

Step 9: Iske Baad Aapko Payment Ka Option Milega. Railway Hame Payment Ke Bahut Sare Mode Pradan Karta Hai Like- Bhim UPI, Debit Card, Net Banking, IRCTC Prepaid Etc.

Aap Jis Mode Ka use karna Chahe Aap Kar Sakte hai. Yaha Maine Debit Card Select Kiya Hai State bank Of India Ka.Bas Aapko Ab Make Payment Ke Option Par Click Karna Hoga. Ab IRCTC Aapko Aapke Payment Gateway Par Redirect Kar Degi.

make payment

Step 10: SBI Ke Payment Gateway Me Redirect Karne Ke Baad Aapko Apne Debit Card Ka Number, Expiry Date, Card Holder Name, ATM Pin Aur Captcha Code Fill Karke Proceed par Click Karege Aur Aapki Payment Successfully Ho Jaegi.

success payment

Step 11: Apke Mobile par Ek Message Aa Jaega Ki Aapki Ticket Book Ho Chuki Hai, Message Me Aapka PNR No, Aapka Name, Date Of Journey Sari Details Hogi.Aur Aapki Email Id par Bhi Ticket Ki Sari Details Aa jaegi.

Read Also:-

Note For IRCTC Booking Tips:

  • Subah ( 8 Se 10) Baje Tak Ek User ID Se Aap Keval 2 Tickets Hi Book Kar Sakte Hai, Us Se Jada Nahi. Subah Ke 2 Gante IRCTC Ke Server Par Traffic Bahut Hota hai Islie Agar Aapko 2 Tickets se jada Book karna Hai To Subah 8 Se 10 Bje Mat Booking Ko Avoid Kariye.
  • Tatkal Ticket Book Karne ke Lie Subah (10 se 12 ) Baje Tak 1 user Id Se Keval 2 Hi Ticket Ek Din Me Book ki ja Sakti Hai, Is Se jada Ticket Aap Book Nahi Kar Sakte Hai
  • 1 Mahine Me Aap Keval 6 Ticket Hi Online Book kar Sakte Hai Kyuki Jo Agents Hote Hai Wo sari Tickets Ko Book kar Lete The aur peoples ke Lie Tickets Book Milne me Kafi Problems create hua karti thi Islie Aap 1 Month me only 6 tickets Hi Book kar sakte hai.
  • Rat Ko IRCTC Ki Website Ki Maintenance Hoti Hai, Rat Ko (11:30 se 12:30) Baje Tak Ticket Booking Me Problems Aapko Aa Sakti hai, Islie Is Time aap Thoda Dhyan Rakhe, Ticket Ko Book karne Me.
  • Agar Aapko koi ERROR Message Aata Hai Ya Koi problem Aati hai, To Aap IRCTC Ki Site Par Email Bhej Sakte hai, Ya Unke Customer Care No-011-39340000 Par Call karke Apni Problem Ko Bata Sakte Hai.

IRCTC Ticket Refund cancellation Charge Ke Liye Is Link Par Click Kare:Cancellation Charges IRCTC

 

About The Article:-

Toh Aaj Hum Logo Ne Ye Jana Ki Online Railway Ticket Kaise Book Karte Hai.Railway Ticket Ko Mobile Aur laptop/Pc Se Kaise Book Karte Hai Aaj Ki Post Me Maine Aapko Bataya. I Hope You Like My Post.

Agar Aapko Article Acha Laga To Share Kare Jis Se Jo Log Online Ticket Apne Smartphone Se Hi Aasani Se Book Kar Sake.share Technicalcube

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

 

इस ब्लॉग पर आपको (Tally, Tally Prime, Computer Courses, Various Exams PDF Notes, CCC, O Level, and Motivational Books, etc से Related Articles मिलेगे।

4 thoughts on “Online Railway Ticket Kaise Book Kare 2022 पूरी जानकारी जाने?”

  1. Hy Bro,
    How are you, the information you provided is very helpful to me thanks for sharing this amazing article.
    Keep up the good work 🙂
    Cheers..!!

    Reply

Leave a Comment